Sunday, 9 October 2011

Birthday Celebration's of Sardaar Bhagat Singh

                         Relly Organized By the Members Of INDIAN SOCIAL FORCE( ISF)

"JINNA BACHAIYAAN IZZATAAN NE JO SAB KUCH TUHADE TOH VAAR GAYE.....
             MAAF ZAMEER NE KARNA NI JE OH V DILON VISAAR GAYE......!!!!"

Today is a special day for us. u know why......? becoz birthday of Punjabi Surma.......!!!!! I know u forget it bt it's not ur's fault. Aaj hamari country ki yehi situation hai ki ham future ki taraf toh badte jaa rahe hain bt hum unko bhulte jaa rahe hain jinki wajah se hamain yepresant mila hai......!!! aaj hamian Gandhi ke baare main toh bataya jata hai par hamain Sardaar Bhagat singh ji ke baare main nahi bataya jata.....ye koi mazaak waali baat nahi hai maine khud practical kar ke dekha aap kisi se ye puch lo ki 02 oct ko kya hai wo bahut jaldi bata dega ki gandhi jyanti hai bt kisi se ye pucho ki 28 sep kya hai kisi ko ni maaloom. kyon ki shayad sab ko yehi lagta hai ki saari azaadi toh akela gandhi de gaya hai bt shayad ham ye bhul gaye ki azaadi ki sabse badi khurbaani Sardaar Bhagat Rajguru Sukhdev jaise surme de gaye.. aaj ham unko bhulte jaa rahe hain hamare liye is se sharm ki koi baat ni  ho sakti...main janta hun in baaton ka koi asar nahi hoga par hamain unko nahi bhulna chaiye jo apni zindagi is desh ke naam kar gaye......!!! isi liye aaj ham ne mil kar Sardaar Bhagat Singh ji ka Birthday Celebrate kiya or ek Jaagrukta raily bhi nikaali jisse Sab logo ko pata chal sake is din ke mahatva ka.....!!! maine is saal Apna janamdin nahi manaya ku ki shayad maine ab tak aisa kuch nahi kliya ki jis se mujhe lage ki main apne janam ki khushi mana sako. is liye humne Sardaar Bhagat ke saath hi Apne Birthday ki Celebration kar li....!!! 

Monday, 15 August 2011

INDIAN YOUTH

                                                    Ajj Hamari yuva pidi kahan kis rah par chal rahi hai kabhi socha hai is bare main ki jise hum desh ka bhavisya kehte hain wo yuva warg aaj kahan ja raha hai kya wo is jimewaari ko utthane ke kaabil hai, Kya wo is jimewaari ko lene ko tyaar hai ya nahi... Toh shayad jawaab hoga "Haan" par agar hum aaj dekhe toh hamari yuva pidi jis raah par chal chuki hai toh mujhe nahi lagta ki hamare desh ka bhavisya ujwal hai..aaj hamari yuva pidi jiske samne sabse badi samasya hai wo hai Nashe aaj hamare yuva Nashu main Ghirte jaa rahe hain or wo apne Maksad apni jimewarion ko shayad bhulte jaa rahe hain or iska sidha asar hamare desh ke bhavisya par hoga. aaj hum kehte hain sarkaar ye nahi karti wo nahi karti iska jimewaar koun hai... iske jimewaar hum hai jo apna kaam nahi karte kaanoon ne hamain ye adhikaar diya hai ki hum apni sarkaar khud bana sakte hain toh fir hum apne adhikaar ko kyon nahi samjhte kyon hum ise sahi tarike se nahi nibhate..aaj hamara yuva warg jo ki shayad poltics main interest bahut kam leta hai or isi ka faida kuch log uttha kar desh chalane lagte hain fir hum log unko dosh dete hain . aise situation aane se pehle hi kyon na hum ise rok le aaj hamare desh main jo situation hai toh iska jimewaar or koi nahi balki ham hai.....agar ham apni jimewariyon ko thik se samjhe toh ye ginti ke chand log hamare desh par tanashai nahi kar sakte....Pehle hamain desh ke Presant ko sudharna hoga fir uska future khud b khud thik hoga...or ye tabhi hoga jab hum iske liye aage ayenge or apne adhikaaro ko samjhenge. Ajj ek person jo is kaam ke liye aage aaya hai wo hain Shri.Krishana Babu Rao Hajare ( Anna Hazare) unhone apni life ke akhri padaav par bhi hamare liye sarkaar se lad rahe hain ,wo ye sab kis ke liye kar rahe hain hamare liye hum jinki puri life abhi padi hai. jab wo insaan hamare liye itna kuch kar sakta toh hum kya unka saath nahi de sakte. Sh Anna Hazare jinhone apni puri life desh ke naam kar di toh hamain bhi unki is khurbaani ko samjhna chaiye or unka saath dena chaiye. Kal se wo Anshan karne wale hain toh main ye nahi kehta ki Anshan karo bt kisi naa kisi tarah Sh.Anna ji ka Saath toh de sakte hain or Sarkaar ka viroudh  kar sakte hain . ispar hi hamara or hamare desh ka Bhavisya Nirbhar karta hai...........!!!!!!   

Sunday, 14 August 2011

Shaheedon Ki Chitaon Par Lagenge Har Baras Mele Watan Par Mar Mitne Walo Ka Bas Yahi Ab Baaki Nishaan Hoga....!!!

                                           SHAHEED-E-AZAM SARDAAR BHAGAT SINGH
                                                               SHAHEED SUKHDEV
                                                               SHAHEED RAJGURU
SHAHEED CHANDER SHEKHAR AZAAD

"SHAHEEDON KI CHITAON PAR LAGENGE HAR BARAS MELE WATAN PAR MAR MITNE WALON KA BAS AB YAHIN BAAKI NISHAAN HOGA"....!!!

                      Ye kya hai....? Aaj ke samay main ye sirf kitaabon main hi chup kar reh gaya hai. Aaj Hamare Desh ke log un Shaheedon ki Khurbaaniyon ko Bhulte ja rahe hain. Yahan tak ki un Shaheedon ke naam tak bhi bhul chuke hai. unke Balidaano ko bhul chuke hai .Aaj hamari yuva pidi jo desh ka Bhavisya hai unka interest hi nahi hai . unhe toh ye Azadi free main virasat main mili hai jis kaaran unhe is azaadi ki sahi kimat nahi pata or wo iska galat faida utha rahe hain or desh ke liye or desh ki sewa ke liye aage aane se katraate hain. wo ye bhul chuke hain ya bhulte ja rahe hain ki is azaadi ke liye hamare un Bahadur Shaheedon ne apna sara jiwan apni zindagi is desh ke liye Khurbaan kr di bina kuch soche samjhe unka toh bas ek hi spna tha desh ki azaadi . unhone bahar ke Dushmano se toh desh ko azaad kara dia magar aaj desh ko desh ke apne log isse andar hi ander khokhla kar rahe hai.... Hamare Bhadur Jawaan jo ki Barfili Chotiyon pr Din Raat Tainaat Rehte hain Apni family se dur wo Raat ko Sote nahi taaki hum So sake , wo ye sab kis liye kr rahe hain kya azaadi ki sahi kimat unhe hi samajh aayi hai.. hum kuch nahi kar sakte is desh ke liye....wo bahar ke Dushmano ke liye hain toh kya hum desh ke Dushmano se nahi lad sakte aaj hamare desh ke yuva warg ko in baaton ko samjhna chaiye ki or un Shaheedon ki Kurbaaniyon ko vyarth na jaane dia jaye.....!!!! Shaheed-E-Azam Sardaar Bhagat Singh, Sukhdev, Rajguru or Chander Shekhar Azad ye wo Shaheed hain jinhone Angreji hakumat ki jade hila di thi or unhe majboor kr dia tha ki Ab unka desh chodne ka samaye aa chuka hai... Bhagat Singh na kaha tha ki."ZINDAGI TOH SIRF APNE DUM PAR JI JAATI HAI. DUSRO KE KANDHO PAR TOH SIRF JANAZE UTHA KARTE HAIN" ussi ek Surme nain desh ko ye bataya ki azaadi haath failane se nahi milegi balki angrejo se zabardasti haasil karni padegi....!! Aaj hamare desh ke aise halat hai ki Shaheedon ki family ke saath sarkaar ka behave aisa hota hai ki jin maaon ne apne bete desh ke liye khurbaan kr diye.unhe wo respect nahi milti jinki wo hakdaar hain....Maaon ne apne bete ye soch kar desh ke liye khurbaan kiye ki desh unka apna hai par ye desh unhe kab apnayega....kab un shaheedon ki kurbaniyon ko samjega....!!!