Sunday, 14 August 2011

Shaheedon Ki Chitaon Par Lagenge Har Baras Mele Watan Par Mar Mitne Walo Ka Bas Yahi Ab Baaki Nishaan Hoga....!!!

                                           SHAHEED-E-AZAM SARDAAR BHAGAT SINGH
                                                               SHAHEED SUKHDEV
                                                               SHAHEED RAJGURU
SHAHEED CHANDER SHEKHAR AZAAD

"SHAHEEDON KI CHITAON PAR LAGENGE HAR BARAS MELE WATAN PAR MAR MITNE WALON KA BAS AB YAHIN BAAKI NISHAAN HOGA"....!!!

                      Ye kya hai....? Aaj ke samay main ye sirf kitaabon main hi chup kar reh gaya hai. Aaj Hamare Desh ke log un Shaheedon ki Khurbaaniyon ko Bhulte ja rahe hain. Yahan tak ki un Shaheedon ke naam tak bhi bhul chuke hai. unke Balidaano ko bhul chuke hai .Aaj hamari yuva pidi jo desh ka Bhavisya hai unka interest hi nahi hai . unhe toh ye Azadi free main virasat main mili hai jis kaaran unhe is azaadi ki sahi kimat nahi pata or wo iska galat faida utha rahe hain or desh ke liye or desh ki sewa ke liye aage aane se katraate hain. wo ye bhul chuke hain ya bhulte ja rahe hain ki is azaadi ke liye hamare un Bahadur Shaheedon ne apna sara jiwan apni zindagi is desh ke liye Khurbaan kr di bina kuch soche samjhe unka toh bas ek hi spna tha desh ki azaadi . unhone bahar ke Dushmano se toh desh ko azaad kara dia magar aaj desh ko desh ke apne log isse andar hi ander khokhla kar rahe hai.... Hamare Bhadur Jawaan jo ki Barfili Chotiyon pr Din Raat Tainaat Rehte hain Apni family se dur wo Raat ko Sote nahi taaki hum So sake , wo ye sab kis liye kr rahe hain kya azaadi ki sahi kimat unhe hi samajh aayi hai.. hum kuch nahi kar sakte is desh ke liye....wo bahar ke Dushmano ke liye hain toh kya hum desh ke Dushmano se nahi lad sakte aaj hamare desh ke yuva warg ko in baaton ko samjhna chaiye ki or un Shaheedon ki Kurbaaniyon ko vyarth na jaane dia jaye.....!!!! Shaheed-E-Azam Sardaar Bhagat Singh, Sukhdev, Rajguru or Chander Shekhar Azad ye wo Shaheed hain jinhone Angreji hakumat ki jade hila di thi or unhe majboor kr dia tha ki Ab unka desh chodne ka samaye aa chuka hai... Bhagat Singh na kaha tha ki."ZINDAGI TOH SIRF APNE DUM PAR JI JAATI HAI. DUSRO KE KANDHO PAR TOH SIRF JANAZE UTHA KARTE HAIN" ussi ek Surme nain desh ko ye bataya ki azaadi haath failane se nahi milegi balki angrejo se zabardasti haasil karni padegi....!! Aaj hamare desh ke aise halat hai ki Shaheedon ki family ke saath sarkaar ka behave aisa hota hai ki jin maaon ne apne bete desh ke liye khurbaan kr diye.unhe wo respect nahi milti jinki wo hakdaar hain....Maaon ne apne bete ye soch kar desh ke liye khurbaan kiye ki desh unka apna hai par ye desh unhe kab apnayega....kab un shaheedon ki kurbaniyon ko samjega....!!!

9 comments:

  1. Sahi bola dost....par sabhi yuva ek se nahi hote...nahi to ye desh bhir se gulam ho chuka hota.
    ek tarah ki soch valon ki zarurat pade to mail karne main mat hichkichana...jinda raha to reply zarur ayega.

    abhishek.globalreach@gmail.com

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jinda raha ka kya matlab hai mere bhai.... zindagi ki kimat ko pehchaanu.. or kam se kam kuch or nahi toh apne desh ke prati apne krataviya ko pura karo jis desh mai tumne janam liya ... !!! Last but not the least
      Zindagi bahut kimti hai...???

      Delete
  2. bhai bhot .... khub kaha dono ne shandar zindabad .... zabarjast... :)

    ReplyDelete
  3. भारतीय स्वाधीनता संग्राम १८५७-१९४७ के गुमनाम क्रान्तिकारियों, शहीदों और उनके जीवित वंशजों के लिए हमारा प्रयास प्रयास आन्दोलन: एक पुस्तक से
    www.indianmartyrs.in

    ReplyDelete
  4. we must remember all times the sacrifices our jawans have done . It is not enough to remember them only on 15th Aug And 26th Jan.

    ReplyDelete
  5. And not only remember them , follow there principal in life
    Warm regards

    ReplyDelete
  6. Wah, sach mein jaanbaaz veer Jawan the ,our Army officers n Jawans are keeping their tradition of Sacrifice high.
    Jai Hind ������

    ReplyDelete